Ye Mast Mast Be-Misal Ankhen
Nashy Se Hr Dam Nidhal Ankhen
Uthen To Hosh-o-Hwaas Chenein
Giren To kr Dain kamal Ankhen
Koi Hai ¡nn k Karam ka Talib
Kisi ka Shok-e-Wisal Ankhen
Na Yun Jalain Na Yun Satain
Karen To kch Ye khyal Ankhen
Hain Jeenay ka Bahana Yaaro
Ye Rooh Prwar Jamal Ankhen
Draz Palken Ghazal Ankhen
Muswari ka Kamal Ankhen
Sharab RAB Ne Haram krdi
Magr Rkhi Hen Halal Ankhen
Hazaro inse Qatal Hue.hain
Khuda k Bandy Smbhal Ankhen.

کوئی تبصرے نہیں:
ایک تبصرہ شائع کریں