پیر، 26 دسمبر، 2011
منگل، 20 دسمبر، 2011
Socha jo teer kha ke main ab to sambhul gaya Ik teer aa ke phir mere senay pe chul gaya
Socha jo teer kha ke main ab to sambhul gaya
Ik teer aa ke phir mere senay pe chul gaya
Her shakh e gul jhukki hoi hay ahtaraam main
Rakkha qadam chaman main to mousam badal gaya
Moujain palut rahi theen jub Sahil pe chor ker
Sahil ki narm rait se main phir phissal gaya
Tashta e jissum main jal utha roohoun ka imtezaaj
Shamma ke saath saath jub main bhe pighal gaya
Kerta raha wo ummer bher derya ki phir talaash
Paani jo apni mouj main had se uchchal gaya
Phir aa rahi hain kis liye Maher yeh aandhiyaan
Shamma bhe bujh gaye hay jub yeh gher bhe jal gaya
اتوار، 18 دسمبر، 2011
har sans k sath mujy socha karey ga woh apne hi aks mai mujhy dhonda karey ga woh
har sans k sath mujy socha karey ga woh
apne hi aks mai mujhy dhonda karey ga woh
jab yaad ayegi usko wafa meri
phr har shakhs ko chahat sa dekha karey ga woh
aaj meri tanhai per hans raha hai jo
mujh se bichar k isi baat par roya karey ga woh
phr kese mere khayal sa daman chhurayega
jab meri tarha kisi ko chaha karey ga woh
mere hotey hoe mera naam bholaney wala
mere baad mere name se sab ko pukara karey ga wo
wo aik bholi hoyi tujh Ko Kahani yad to ho gi,,, tujhe aey qatil teri qatil jawani yad to ho gi...
wo aik bholi hoyi tujh Ko Kahani yad to ho gi,,,
tujhe aey qatil teri qatil jawani yad to ho gi...
jahan par dopehr Kat'ti thi teri meri bahon mein,,,
tujhe peepal ki wo chaon suhani yad to ho gi...
wo tera ghair Ki baton mein aa Kar chorna mujh Ko,,,
tujhe zalim wo teri badgumaNi yad to ho gi...
tere inkar karNe par wo mera tot kar roNa,,,
meri aaNKhon se ashKoN ki rawani yad to ho gi...
mujhe chaha tha tu Ne tot Kar ye yad to ho ga,,,
jo main Ne tujhe di thi Nishani yad to ho gi ♥♥♥
منگل، 13 دسمبر، 2011
BIKHRE AASHKON KE MOTI BANA NA SAKE
Bikhre aashkon ke moti bana na sake,
Teri yaad mein sari raat so na sake,
Bheeg na jaye aasoo mein tasvir teri,
Bas yehi soch kar hum ro na sake…
`
Hume suläne ki khätir jab raat aati hai,
Hum so nahi pate raat khud so jäti hai,
puchne par dil se ye aawaz aati hai,
aaj unhe yaad kar le raat to roj aati hai..
`
Meri aadat ko wo samajh nahi pate,
Hum bhi unse kuch kah nahi pate,
Ai khuda na jaane ye kaisa yar de diya tune,
Jise yaad kiya bina hum rah nahi pate…
`
Khata ban gaya hai kisi se pyaar karna
saza ban gaya hai kisi pe aitbaar karna
sochta hoon phir khwab sajaun per dil kehta
hai kya tujhe acha lagta hai intezaar karna..
`
Uski yaad mey hum barso rotey rahey
Bewafa wo nikle badnaam hum hote rahey
Mohabbat mey madhoshi ka aalam to dekhiye
Dhool chehre pr thi or hum aaina dhotey rhe…
Teri yaad mein sari raat so na sake,
Bheeg na jaye aasoo mein tasvir teri,
Bas yehi soch kar hum ro na sake…
`
Hume suläne ki khätir jab raat aati hai,
Hum so nahi pate raat khud so jäti hai,
puchne par dil se ye aawaz aati hai,
aaj unhe yaad kar le raat to roj aati hai..
`
Meri aadat ko wo samajh nahi pate,
Hum bhi unse kuch kah nahi pate,
Ai khuda na jaane ye kaisa yar de diya tune,
Jise yaad kiya bina hum rah nahi pate…
`
Khata ban gaya hai kisi se pyaar karna
saza ban gaya hai kisi pe aitbaar karna
sochta hoon phir khwab sajaun per dil kehta
hai kya tujhe acha lagta hai intezaar karna..
`
Uski yaad mey hum barso rotey rahey
Bewafa wo nikle badnaam hum hote rahey
Mohabbat mey madhoshi ka aalam to dekhiye
Dhool chehre pr thi or hum aaina dhotey rhe…
SHORT URDU POETRY
Meri chahat ka hisab jo lagao gay,
To meri chahat ko bayhisab pao gay,
Meri chahat hay pani k bulbulay jesi,
Zara sa thukrao gy to dhondtay reh jao ge......
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bun k ajnabi mily thay zindagi k safr mein kahin,
In yadon k lamhon ko kabhi bhoolaingay nahin,
Agar yaad rakhna fitrat hai aapki,
Bhool jane ki adat hamain bhi nahin.....................
********************************************
Mahak dosti ki ishq se kum nahi hoti
Ishq se zindgi khatam nahi hoti
Sath agar ho zindgi main doston ka
To zindgi jannat se kum nahi hoti......
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tanha chor ker hum ko hosla bhi dete ho,
Saans cheen ker jeenay ki dua bhi dete ho,
Ik taraf judai ka tazkira bhi jari hai,
Aur muskuranay ka mashwara bhi detay ho...
********************************************
Dosti kisi ki riasat nahi hoti,
Zindagi kisi ki amanat nahi hoti,
Hamari saltanat main dekh ker qadam rakhna,
Kion kay hamari dosti ki qaid main zamanat nahin hoti...
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
♥♥ Band Pinjir0n Main Parindon ko Daikha hai kbhi
Aise Sisakte hain Mohabbat K Mujrim Saqi....♥♥
RAAH-E-KHULOOS MEIN PAIDA DUSHWARIYAN
RaaH-E-KhuloOs mein paida Dushwariyan na Kar,,
chaHat Nahi tO Hum sE AdakariyaAn na ker,
LaFzoOn sE khelnE Ki Zarort Nahi Tujhy,
saada dilOon k sath yEh FankariyaAn Na ker,
jin sE Nahi mOhabbat unhian mOunh Bhi Matt laga,,
Be-Waja Her DukaAn sE kharidariyaAn na ker,,
Iss shugal-E-Be'jawaaz sE kya Faaida Tujhy,,
Dil Matt Dukha kisi Ka Dil AzariyaAn Na kar,
پیر، 12 دسمبر، 2011
MIX SAD URDU POETRY
Dil se teri yad ko juda to nahi kia,
Rakha jo tujhe yaad, bura to nahi kia,
Hum se log hain naraz kis liye,
Hum ne kabhi kisi ko khafa to nahi kia..........
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Wo to is soch me sahil pe khara doob gia,
Kitna gehra tere darya ka kinara ho ga,
Wo mera ho k bhi mehroom raha mujhse Maher,
Kia koi meri tarah jeet k hara ho ga................
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Udaas na hona kion k main sath hon,
Samnay na sahi per aas paas hoon,
Aankhon ko band karo dil se yaad karo,
Main hamesha aap k liye eik ehsas hon....................
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Thukra k usne mujhko kaha muskura do,
Main hans dia akhir sawal uski khushi ka tha..
Main ne khoya wo jo mera tha hi nahi,
Usne khoya woh jo sirf usi ka tha..........!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Maghroor hi sahi mujhay acha bahot laga wo ajnabi to tha mager apna bahot laga
Maghroor hi sahi mujhay acha bahot laga
wo ajnabi to tha mager apna bahot laga
rootha howa tha hans to para mujh ko daikh ker
mujh ko to is kader bhi dilasa bahot laga
sehra main ji raha tha jo darya-dili k saath
daikha jo ghour se to wo pyaasa bahot laga
wo jis k dam-kadam se thi basti ki rounakin
basti ujar gai to akela bahot laga
lipta howa ho jaise kahar main khizaa ka chaand
mailay libaas main bhi wo pyara bahot laga
resham pahan k bhi maire keemat na barh saki
khadar bhi is k jism per mehanga bahot laga
"KAIS}{" jab aaine pai maire sanse jam gai
mujh ko khud apna aks bhi dhundla bahot laga..
سبسکرائب کریں در:
تبصرے (Atom)









