Maghroor hi sahi mujhay acha bahot laga
wo ajnabi to tha mager apna bahot laga
rootha howa tha hans to para mujh ko daikh ker
mujh ko to is kader bhi dilasa bahot laga
sehra main ji raha tha jo darya-dili k saath
daikha jo ghour se to wo pyaasa bahot laga
wo jis k dam-kadam se thi basti ki rounakin
basti ujar gai to akela bahot laga
lipta howa ho jaise kahar main khizaa ka chaand
mailay libaas main bhi wo pyara bahot laga
resham pahan k bhi maire keemat na barh saki
khadar bhi is k jism per mehanga bahot laga
"KAIS}{" jab aaine pai maire sanse jam gai
mujh ko khud apna aks bhi dhundla bahot laga..

کوئی تبصرے نہیں:
ایک تبصرہ شائع کریں