جمعہ، 31 مئی، 2013

Kaun hota musibat mein kisi ka ae dost Aag lagti hai to pate bhi hawa dete hain


Dost kya khub wafaon ka sila dete hain
Har naye mor pe ek zakhm naya dete hain

Tumse to khair ghari bhar ki mulakat rahi
Log sadiyon ki rafaqat ko bhula dete hain

Kaise mumkin hai ki dua bhi na ho aur dil bhi jale
Chot parti hai to pathar bhi sada dete hain

Kaun hota musibat mein kisi ka ae dost
Aag lagti hai to pate bhi hawa dete hain

Jin pe hota hai dil ko bharosa 'S'
Waqt parne pe wohi log daga dete hain

پیر، 20 مئی، 2013

Buchpan k dukh kitnay achay hotay thay Tab dil nahi khilonay toota kertay thay.









Buchpan k dukh kitnay achay hotay thay
Tab dil nahi khilonay toota kertay thay.

Wo khushiyan bhi janay kaisi khushiyan thien
Titli pakar ker uchla kertay thay.

Chotay thay to maqr-o-faraib bhi chotay thay
Dana dal ker chiriyan pakra kertay thay.

Apni jaan janay ka bhi ehsas na tha.
Jaltey sholon ki taraf lapka kartay thay.

Ab ek aansu giray to ruswa ker deta hai
Buchpan main to jee bhar k roya kertay thay......!!

بدھ، 15 مئی، 2013

Chalo Rooth Jao Tum, Main Tum Ko Manati Hun"

Chalo Rooth Jao Tum,
Main Tum Ko Manati Hun"

Tum Koi Zidd Lagao Main Usey AAagey Barhati Hun"
...
Bohat Din Ho Gaye Taaron K Jhurmat Ki Chamak Dekhe,"

Tum Likho Geet Main Tum Pe Ghazal Gungunati Hun"

Abhi To Waqt Hai Muthi Mein Or Jazbat Hain Dil Mein"

Chalo Ab Maan Jao Tum
Main Tumse Rooth Jati Hun"

Mere Hathon Ko Thamo Or Koi Phir Zidd Nayi Ker Do"

Chalo Tum Do Qasam Apni Main Wapis Loat Aati Hun"

Or Bhi Hain Bohat Se Aazmane K Hunar Baqi"

Rakho Tum Haath Dil Pe
Main Tumhen Dharkan Sunati Hun"

Bohat Din Ho Gaye Khamosh Muhabbat Ko Nibhate Huwe"

Mujhe Tumse
Muhabbat Hai,

Main Kehna Bhool Jati Hun..!!

منگل، 14 مئی، 2013

رات کٹتی رہی، چاند ڈھلتا رہا آتشِ ہجر میں کوئی جلتا رہا Rat cut ti rahi chand dhalta rha atish -e hijar mein koi chalta rha


رات کٹتی رہی، چاند ڈھلتا رہا
آتشِ ہجر میں کوئی جلتا رہا

گھر کی تنہائیاں دِل کو ڈستی رہیں
کوئی بے چین کروٹ بدلتا رہا

آس و اُمید کی شمع روشن رہی
گھر کی دہلیز کوئی تکتا رہا

رات بھر چاندنی گُنگناتی رہی
رات بھر تنہا کوئی سسکتا رہا

اشک پلکوں میں آ کر بِکھرتے رہے
نام لب پر کسی کا لرزتا رہا

آج کی رات بھی یوں بسر ہو گئ

آج پھر خود سے کوئی اُلجھتا رہا

جمعرات، 9 مئی، 2013

Teri taareef kartay hain to ismay kya burayee hai,

Teri taareef kartay hain to ismay kya burayee hai,
Khuda nay apnay haathon say teri soorat banayee hai !



Hazaron ki tarah sun lay teri rusvaee kay dar say,
Teri tasveer humnay kitabon mein chupayee hai !



Teri masoom surat ki yahi taareef hai sun ley,
Zaban pay hai yahi sabkay khudai hai khudai hai !



Marz yeh ishq ka aisa laga ki phir nahin choota,
Dua bhi humnay ki `Rahi' dava bhi aazmayee hai !



Teri taareef kartay hain to ismay kya burayee hai,

Khuda nay apnay haathon say teri soorat banayee hai !

Mohabtain Jab Shumar Kerna To Sazishain Bhi Shumar Kerna


Mohabtain Jab Shumar Kerna To Sazishain Bhi Shumar Kerna
Jo mere hisay mein i hein wo aziytain bhi shumar kerna
Jalay rakho gi sobho tak main tumhare rasto mein apni ankhain
Magar kahin zabat tot jaye to barishain bhi shumar kerna
Jo harf e loh wafa pay likhay hoye hein un ko bhi dekh lena
Jo raygaan ho gai hein wo saari ibadatain bhi shumar kerna
Ye sardiyo k udaas mousam ki dharkanain sard ho gai hein
Jab in ki yakh bastagi perakhna tamaztain bhi shumar kerna
Tum apni mujboriyun k qisay zaror likhna wazahto se

Jo meri ankho mein jhal bojhi hein wo khawhishain bhi shumar kerma

بدھ، 8 مئی، 2013

Rah_E_Wafa Me Sazaon Ko Kon Dekhy Ga,

Rah_E_Wafa Me Sazaon Ko Kon Dekhy Ga,
Safar He Dhoop Ka Chaon Ko Kon Dekhy Ga,
Hum Apni Zid Pe Aye To Cheen LenGe Tuje,
Tere Shehar Ki Ghataon Ko Kon Dekhy Ga,
Bichar To Jayen Magar Phir Khayal Aata Hai,

Teri In Dilkash Aadaon Ko Koun Dekhy ga.

Mohabat ka Bharam Hota, to Phir kuch Soch kar Jaty,

Mohabat ka Bharam Hota, to Phir kuch Soch kar Jaty,
Wagarna Zindagi Ban k Mery Hamdam Guzar Jaty,
Thaky Hary Prindon Ko Jo Dekha to Khayal Aaya,
Koi Jo muntazir hota tu hum bhi apny ghar jaty,
Main kha kar dard ki thokar abhi tak hosla mand hon,
ye thokar jo tumhain lagti,tu tum khud bhi bikhar jaty,
Is TANHAi ka hum pe bara Ahsan hai “Mehar”

Na daiti sath ye apna tu jany hum kidhar jaty.

Mat Tor Woh Taluk Jo Teri Zaat Se Hai,

Mat Tor Woh Taluk Jo Teri Zaat Se Hai,
Tu Khafa Meri Kis Baat Se Hai,
Tu Bhi Na Uljha Kar Mujhse Is Tarah,
Jo Tu Achi Tarah Wakif Mere Jazbat Se Hai,
Main Kaise Ji Lon Tumse Rooth Kar,
Meri Har Saans Wabasta Teri Yaad Se Hai,
Mera Taluk Jura Hai Kuch Is Tarah Tumse,
Jaise Insan Ka Rishta Khud Apnay Ap se Hai……!!!!

waqt aisi rawani main dhalta raha

waqt aisi rawani main dhalta raha
main be khabar aisy hi chalta raha
kabhi hansta tha apny naseebon pe main
kabhi ander hi ander main jalta raha
kahin shikwy mily kahin thokren milin
choot aisi lagi k sanbhalta raha
usko pany ki khatie to sab kuch kia
wohi sang dil tha rasta badalta raha

kaha tha na main nazuk hun na tarash mujhy

kaha tha na main nazuk hun na tarash mujhy
janun ne kar dia pash pash mujhy
mujhy khabar karna jo mera nishan pao
bohot dinon se hai apni talash mujhy

wo jazbon ki tijarat thi ye dil kuch aur samjha tha

wo jazbon ki tijarat thi ye dil kuch aur samjha tha
usy hansany ki adat yhi ye dil kuch aur samjha tha
kaha osny nai daunya basaty hain
osy sujhi sharart thi ye dil kujh aur samjha tha

صفحہ دیکھے جانے کی کل تعداد