Mohabtain Jab Shumar Kerna To Sazishain Bhi Shumar Kerna
Jo mere hisay mein i hein wo aziytain bhi shumar kerna
Jalay rakho gi sobho tak main tumhare rasto mein apni
ankhain
Magar kahin zabat tot jaye to barishain bhi shumar kerna
Jo harf e loh wafa pay likhay hoye hein un ko bhi dekh lena
Jo raygaan ho gai hein wo saari ibadatain bhi shumar kerna
Ye sardiyo k udaas mousam ki dharkanain sard ho gai hein
Jab in ki yakh bastagi perakhna tamaztain bhi shumar kerna
Tum apni mujboriyun k qisay zaror likhna wazahto se
Jo meri ankho mein jhal bojhi hein wo khawhishain bhi shumar
kerma
کوئی تبصرے نہیں:
ایک تبصرہ شائع کریں